Sunday, 17 March 2013

Main Kho Bhi Jaaon Agar Zindagi ke Mele Mein

Woh ik zaat se apna ajeeb naata hai
Mein jab bhatakta hon, woh rasta dikhata hai

Sawad-e-shab mein bhi roshan hai rasta mera
Woh chand ban ke mere sath sath chalta hai

Yeh sozo saaz, yeh tabindagi, yeh haala jaan
Koi chirag ki soorat mujhe jalata hai

Mein kho bhi jaaon agar zindagi ke mele mein
Woh meherbaan mujhe phir se dhoond lata hai

Fakeeha sheher ko maloom hi nahin amir
Woh rasta jo dilon se guzar ke jata hai

No comments:

Post a Comment