Wednesday 2 January 2013

Khud se b ziyada mujhe jis ka dhyaan rehta hai


Meri ankhon mein nami ka hi smaan rehta hai.
Dil mein ik dard jo muddat se jawaan rehta hai.

Woh jo kehta tha k bichhrein ge to mar jaen ge,
Ab yeh maloom nhi hai, wo kahan rehta hai.

Aik us ko meri chahat ki zrurat na rahi
Warna mera to talbgar jahan rehta hai.

Wo samjhta hai k main bhool gia hon us ko,
Khud se b ziyada mujhe jis ka dhyaan rehta hai.

Youn udasi mere sir par hai musaLsaL
Naeem,
Jaisi diL pe koi zakhmon ka nishan rehta hai

No comments:

Post a Comment