Thursday 17 January 2013

Humne halaat se ladna chhod diya







Unke sharmane ka andaaz alag hai,
Kahin khol na dena ye raaz alag hai.

Kise fiqr hai zamane mein ruswai ki,
shahil pe jo dooba parwaz alag hai.

Bas do bol pyar ke sun-na chahate hain,
mile jo bol unke alfaz alag hai.

Gham mein bhi unke muskurane ki ada,
zindagi jeene ka unka saaz alag hai.

Humne halaat se ladna chhod diya ‘faqeer’,
umeed ke daaman mein aaghaz alag hai.

No comments:

Post a Comment