Monday 31 December 2012

Wo chala aaya khayalon me mehak ki surat

Wo jo ziddi tha bohat main b to khud’sar thehra,
Mas’ala aur bigarrna hi muqaddar thehra.
Main tau saahil tha jo chalta b to kesay chalta?
Wo b maujon ki tarah aaya to pal bhar thehra.
Chaand pagla tha chala aaya jo meri jaanib,
Main to baadal tha humesha se hi be-ghar thehra.
Wo chala aaya khayalon me mehak ki surat,
Rang dena tha usay aur main pathar thehra.
Kuch hm b junooni thay wafa karnay me,
Aur kuch uski jafaon me tawaatar thehra.

No comments:

Post a Comment