Wednesday, 26 December 2012

Devanagari Script

gilah hai shauq ko dil meñ bhī tangī-e jā kā
guhar meñ maḥv hua iẓtiraab daryā kā

yih jāntā hūñ kih tū aur pāsuḳh-e maktūb
magar sitam-zadah hūñ żauq-e ḳhāmah-farsā kā

ḥinā-e pā-e ḳhizāñ hai bahār agar hai yihī
davām kulfat-e ḳhāt̤ir hai ʿaish dunyā kā

ġham-e firāq meñ taklīf-e sair-e gul nah do
mujhe dimāġh nahīñ ḳhandah'hā-e be-jā kā

hanūz maḥramī-e ḥusn ko tarastā hūñ
kare hai har bun-e mū kām chashm-e bīnā kā

dil us ko pahle hī nāz-o-adā se de baiṭhe
hameñ dimāġh kahāñ ḥusn ke taqāẓā kā

nah kah kih giryah bah miqdār-e ḥasrat-e dil hai
mirī nigāh meñ hai jamʿa-o-ḳharch daryā kā

falak ko dekh ke kartā hūñ us ko yād asad
jafā meñ us kī hai andāz kār-farmā kā

No comments:

Post a Comment