Monday 18 March 2013

Kuch Door Sawera Hai

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….

Hijaab ata tha

Ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii

Husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa

Phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa

Raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa

Sunday 17 March 2013

Subuho ko door main

Subuu ko daur me.n laao bahaar ke din hai.n
Hame.n sharaab pilaao bahaar ke din hai.n

Ye kaam aa_iin-e-ibaadat hai mausam-e-gul me.n
Hame.n gale se lagao bahaar ke din hai.n

Thahar Thahar ke na baraso uma.D pa.Do yak dam
Sitam_garii se ghaTaao bahaar ke din hai.n

Shikastaa-e-taubaa kaa kab aisaa aayegaa mausam
“Adam” ko gher ke laao bahaar ke din hai.

Hamesha dair kar deta hoon main


Jo Hame Bhula De Ga Mei Unhe Bhula Do Ga


Mujhe Gham Hai Tere Chhin Jane Ka

Ye zamane ki WAFAEN mere kaam ki nahi,

Mujhe teri WAFA chahiye kisi aam ki nahi,

Teri to ek muskurahat bhi anmol hai,

Ye tamam muskurahaten kisi kaam ki nahi,

Mujhe gham hai to tery chhin jane ka hai,

Parwah mujh per lage ilzaam ki nahi,

Mere haath dekh kar najumi ye bola,

Bohat si chahaten tere liye hain baqi lekin…?

Tere haath mai koi bhi lakeer uske naam ki nahi….

Usay Bhi Pyar Hai Shayad

Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch lete hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leti hun
Usay bhe pyar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD”
Ban gya hai zindagi meri.