Sunday 17 March 2013

Tum door ho k bhi paas lage

Raat k afsaano me pihglee thi, andheron ka tuhje chanda samhaj liya tha…
Tanha thi uss raat b har raat ki tarhan “Sidraah”, takye ko tera kandha samhaj liya tha.

Tum door ho k bhi paas lage, mere aanchal k saaye me, “Azeem”, k humne tuhje chuhpaa liya tha…
Na dehk payi dunya k kahan ho gaye tum, meri wafa ka saath tumne b iss qadar nibhaa liya tha.

Khayaalon me kareeb paane lagi main tuhjko, haqeeqat me tho chaandini saath thi…
Aankeh band ya kuhlli, tum saamne the, haan ye baat aur thi.

Na poohcho yaaron, kaise kaati gahdriyaan raat ki gin gin “Sidraah” ne,
K aenge milne, kaha tha humko humaare piya ne.

Tab b na jaane, kitne gahnto baad aye wo dilruba se milne,
Jo jhuk rahi thi neendiya se palkaen, aachanak chamak uhtti un ki deed se kihlne.

Tu aya aur aasman se chanda hata, sawera kihdrki se aane laga…
K jab chaand tha meri nazron k aage, tho aasmaan se usska ehsaas jaane laga.

Mera din huwa shuru suraaj ki shuhwayaen* b tadrap k tumse mulaqaat karne aaaeen,
Aaye hain “Azeem” apni dulhan ko jagaane, ye nazaara apni b palkon me bharne aaeen.

Haan, khafa the hum intizaar kar kar k tera tuhjse, jaaneman, magar,
Bhool gaye gille shikwe, jab teri baahaen meri baahon k sahaare se sawarne aaen~~~~

No comments:

Post a Comment