Tuesday 22 January 2013

Mohabbat ki baazi mein adawat haar jati hai

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai

Jo chahat ek tarfa ho wo chahat haar jati hai

Kahin par dua ka ik lafz bhi asar kar jata hai

Kahin barson ki ibadat haar jati hai

Mohabbat kab kisi ko dushmani ka dars deti hai

Mohabbat ki baazi mein adawat haar jati hai

Humain kitnay bhi shikway hon teri jafaon k

Par teray samnay har ek shikayat haar jati hai

Ek aarzu si hai k tujhe bhool jayen hum

Par teri yaad aatay hi ye hasrat haar jati hai..

No comments:

Post a Comment