Tuesday 22 January 2013

Brson ky baad dekha ek shaks dil ruba sa (Ahmed Faraz)

Brson ky baad dekha ek shaks dil ruba sa Ab zehen main nahi hy pr nam tha bhla sa
Abro khichy Khichy sy aankhain jhuki jhuki si Baatain ruki ruki si lehja thaka thaka sa
Khowabon main khowab os ka yadon main yad os ki Nendon main ghul gaya hon jesy keh ratjga sa
Pehlay bhi log aye kitnay hi zindagi main Lekin wo hr trah sy ouron sy tha juda sa
Agli mohabaton ny wo na muradiyan deen then Taza rafakaton sy kuch dil tha dara dara sa
Kuch ye keh muddaton sy hum bhi nahi they roye Kuch zehar main bujha tha ehbab ka dilasa
Ab sach kahen tu yaron hum ko khbar nahi thi Ban jay ga kayamat ek wakiya zra sa
Tevar berukhi ky andaz dosti ky Wo ajnabi tha lekin lgta tha aashna sa
Hum dasht thy keh darya hum zehar they keh amrit Nahaq tha Za’am hum ko jb wo nahi tha peyasa

No comments:

Post a Comment